Hudood-e-Daira – Roman Urdu
“Hudood-e-daira-e-mehdavia” mein ba-nisbat ehkaam ke aamal-e-sahaba zyada sarahat se bayan kiye gaye hain, agar sharah aqhida aur iske saath saath hudood-e-daira jo ke uswa-e-sahaba Rz ka ayna khana hai padhi jaye toh mazhab-e-mehdavia ke ehkaam wo aian aur sahaba Rz ke aqlaaq wo amal se acchi waqifiyat ho sakti hai aur yahi Maqsood hai is kitab ki tahreer se, iske alawa doosri gharz yeh hai ke ghair mazahib ke log bhi is kitab ko dekhen aur malum karein ke “ mazhab-e-mehdavia apne andar kya shaan rakhta hai” aur iske pairau ke aqlaaq wo aamal kis aala paye ke hain. Teesri gharz yeh hai ke buzurgoan ke karname padhne se dil me azmat aur mohabbat paida hoti hai aur yahi azmat wo mohabbat hattal imkaan inka pairau bana ne ke liye ubharti hai aur yahi pairvi fardan fardan islaah wo taraqqi zaat ka aur ijtemayee islaah wo taraqqi qaum ka pesh-khima hai.
Hazrat Syed Qutbuddin urf Khoob Miyan Sahab Palanpuri(RH)