No Image Available

Chirag-e-Deen-e-MahdiAS – Roman Urdu

$0
 Format: PDF  Author: Hazrat Syed Khuda Bakhash Rushdi  Category: Beginners, Later Era Works  Pages: 72  Language: Roman Urdu  Download
 Description:

Transliteration by: Syed Yaqoob Shafi Mehdi

Musaddiqaan-­‐e-­‐ Hazrat Imamuna Meeran Syed Muhammed jaunpuri Mehdi-­‐e-­‐maud Khalifatullah Khatim-­‐e-­‐Vilayat-­‐e-­‐Mohammedi Muradullah S.A.S par wazeh ho ke daarul-­‐isha-­‐at kutub Sulf Us Saleheen
Jamee’at-­‐e-­‐Mahdavia ke sabiq sarparast is raqim al-­‐huruf ke Walid-­‐e-­‐majid Peer O Murshid Maulana Miyan Syed DIlawar urf Gorey Miyan Sahab RH ne baaz bradaraan-­‐e-­‐Deeni ki khwahesh par taqreeban 40 saal qabl Ek Namaz ka risala mausoom ba “Salatul-­‐Muqallideen” Hz.Miyan Syed Zainul-­‐Abedeen RH nabeera Hz.Mujtahed-­‐e-grohRH ki mollifa kitab Harz-­‐al-­‐Musallin ki aik fasl ka tarjuma kar ke mai-­‐hawwashi mufeeda (zaruri batein nishan kar ke) taleef farmaya tha, Jo do dafa panch panch sau (yani 1000) ki tadaad mein baaz mukhayyir (sakhee) as’haab ke ehtemam se shaye hua. Is ke nuskhe khatm hone ke baad isi risaley mein aur chand fawaed wo hawwashi (zaruri batei.N) ka izafa kar ke is ko muayyid (tayeed karne wala / madadgar) musaddiqeen ke naam se 1350 Hijri mein shaye farmaya is ke bhi nuskhey ek arsey tak taqseem hote rahe aur inke ekhtetaam ke baad yeh risala jo Chiragh-­‐e-­‐Deen Mahdi(A.S) ke naam se mausoom hai mutadud (kayi/mukhtalif) kitab kutub-­‐e-­‐fuqha wo aqa’ed ke eqtebasaat(chhant kar/chun kar) se taleef (kayi kitabau.N se mazmoon chun kar ek topic banana) farmaya 1376 Hijri mein ek hazar ki tadad mein is daarul-­‐isha’at se shaaye kiya gaya aur ma’wuneen Daarul-­‐isha’at(Daarul-­‐Ishaat ke madadgar) aur deegar Mehdavi bhaiyaun mein is ke nuskhe is saal-­‐e-­‐haal tak taqseem huwe,chunkey zaruri maloomat-­‐e-­‐fiqhi shariat O tareeqat par yeh risala mushtamil hai aur mukhtasar aur Jamey hone ki wajha se parhne wale is se ba-­‐asani mustafid ho rahe hain, is faqeer ne is ke mazameen ko aam fahem karne ki koshish ke saath is mein mazeed chand zaruri eqtebasat ka izafa kiya hai jin ka mutaalla qare-­‐een (parhne waloun ke liye) faide se khali na hoga.

Other Books From - Beginners

Other Books By - Hazrat Syed Khuda Bakhash Rushdi